Article

Family Of The Children Who Died Due To Arizona Grill’s Poisonous Food Is Demanding Immediate Justice!

2401 views

This post is also available in: العربية (Arabic) اردو (Urdu)

On 11th November 2018, when two little sons of Ahsaan Dangra 2-year-old Ahmed and 5-year-old Muhammad died as the children allegedly had eaten poisoned food from Arizona Grill, people have raised questions on the claims made by the suffered family.

According to the family, the mother along with her children had taken the beef steak from famous eatery Arizona Grill and then candies from Chunkey Monkey, an amusement park near Sea View. The next morning, the children and the mother started vomiting. They were sent to the hospital immediately but unfortunately, both of her sons died upon reaching the hospital while the mother survived!

Arizona Grill published their response later but the suffered family didn’t talk to any media correspondent to give the response. Yesterday, the aunt of the demised minors, Nimra Subhan shared the whole incident with the social media users and said it all!

Here Is What Nimra Posted From Her Personal Profile

“Hi everyone,

Kuch din pehley 11th November ko hum aik bohat bari qayamat se guzray. Main Ahmed aur Muhammad ki chachi hun aur hum saath rehtay thy, main unhey apnay bachun ki tarha pyaar karti thy. Wo roz mjhse khela kartay thy aur humaray ghar ki ronaq thy. Main yeh post is lie likhrie hun k abhi bhi kuch logon ko samajh nahi araha hai k hum kis aziyat se guzray hai or hum kis takleef main hain. Jaise aplog normal log hain aisay hum bhi normal log hain. Hum ek bohat hi achi family se belong kartein hain. Aplogon k kuch sawalat hain jinka main jawab dena chahti hun takay ek bar main hi ap subko sub clear hojaye.

1.Bachay sari raat ultiyan kartay rahay hospital?

Ans. Ultiyan subha 6 6 30 se shuru hui thi, meri jithani ko laga k normal vomiting hai theek hojayega, aksar log yehi soch k pani pee kr soenay ki try kartein right? Jb vomits ziada hui tau woh is condition main nahi thi k woh kisi ko bulaye ya room bhi kholey jab usme himat aie usne khola usse pehley kisi ko nahi pata woh khud bhi conscious thi k nahi?? Jaise hi humein pata chala hum teeno ko hospital legaye fauran!

2. Maa ki tabiayat kharab thy baqqi log kahan thy?

Source: Tubelight

Ans. Hum 3 log ghar main they Sunday wala din tha, hum soeraye they woh apne room main thi humein kaise idea hota k woh log bemar hain?

3. Kya restaurant se aur kisi ne nai khaya?

Ans. Yaqeenan khaya hai or bhi logon ne but zaroori nahi hai jo bacteria unke food main se miley hain woh subke plates main gaye ho? Restaurant kaunsa beef steak kisi de raha ye hume nai pata lekin ye pata hai k unk warehouse se kharab aur purana beef baramad hua. Jesay k apko pata hoga k beef steak amoman log pura paka hua nai khatay, medium cooked ko tarjeeh detay hain to itnay puray meat k jaraseem nai maray thy aur wo pait main janay k baad multiply hona shuru hojatay hain aur zeher ban k jaan lewa sabit hotay hain.

4. 1.5 saal k bachay ne kitna khaya hoga k food poising hogae?

Ans.1.5 saal k bachay mashaAllah se steak taste karsktein. Fries kha saktein. Chicken strips bhi khasaktein… isi tarha 1.5 years k bachay ko food poisoning honay k lye pura steak khana zaruri nai aik do niwalay kaafi hain.

Logon ko gossip chahye thi, gossips mil gaie? Aur buhat saray log ab b jhooti afwahain phela rae hain Lekin humari family ko justice chahye. Ab in sawalon ka koi faida nhi hai.. agar humne kuch kia hota tau hum itni bari qurbani nah detey or post-mortem nahi karwatey, apnay masoom bachay k saath post mortem hotay dekhna kisi ko gawarah nai. Lekin hum ne phir b ijazat de takay sach samnay ae.

Aplog sub thora dimagh se sochein.. reports bhi aa chuki hai.. its clearly written ARIZONA iska zimedar hai! Unka gosht unsafe hai for human consumption yaani gher miyari tha. Humein sirf humaray bachon k lie justice chahye or justice k lie ap logon ka sath chahye. Humne apne bachay khoye hain. Hum nahi chahtey jo aj humaray bachon k sath hua woh kal kisi or k bachay k sath ho! Please we want support! We want justice!

Is page ko like karain aur meray is post ko share karain”
https://www.facebook.com/justiceforahmedandmuhammad/

Read Her Complete Post Here!

Hi everyone,Kuch din pehley 11th November ko hum ek bohat bari qayamat se guzray. Main Ahmed aur Muhammad ki chachi…

Posted by Nimra Subhan on Sunday, 9 December 2018

Let’s see how the Government of Sindh will respond to this matter from here on!

Snap Chat Tap to follow